Aaj badal aisay barsay ke tu aa hi na saka Jora koyalon ka saath milke gaa hi na saka Aaj tootne ke darr se phool khil nahi rahay Dair ho chuki hai shayad aaj mil nahi rahay Kal jo tu aaye Meri rab se yeh dua hai phir say Baadal aisay barsay ki tu jaa hi na sakay Kal jo tu aaye Meri rab se yeh dua hai phir say Baadal aisay barsay ki tu jaa hi na sakay Aaj baadal aisay barsay ke tu aa hi na saka Jora koyalon ka saath milke gaa hi na saka Dil hai bhaari, tabiyat tang rahay Zindagi, hum tujh pay dang rahay Uspay likhne ka toh maahir hun Mujhay ghalat fehmi bhi hai ke mein shayar hun Mujhay andheron se kaisi aashnayi thi Tune zindagi mein ek shama jalayi thi Woh shama jali toh usmein bhi ek tapish thi Phir mujhay apni sard raatein yaad aayīn thien Tera aana aisay hai ki jaisay shifa aaye Jaisay rahat aaye, jaisay aahat aaye Kuch yaad karke chehre pe muskurahat aaye Jaisay khamoshi mein tera intezaar mein karun Izhaar na kar sakun itna pyaar mein karun Hisaar karle mera Tujhme hi ghar hai mera Yahin guzar-basar hai mera Rooh yahin bhatakti hain Jism bhi dafan hai mera Teri qeemat ab ghatayi jaa rahi hai Mujhay furqat sikhayi jaa rahi hai Yeh hai tameer-e-duniya ka zamana Haweli dil ki dhayi jaa rahi hai Mujhay ummeed thi ke tum toh aaoge Mujhay ummeed khaye jaa rahi hai Mujhay kyun nahi aa rahi hai neend? Mujhay fikar jagaye jaa rahi hai Aaj badal aisay barsay ke tu aa hi na saka Jora koyalon ka saath milke gaa hi na saka Aaj tootne ke darr se phool khil nahi rahay Dair ho chuki hai shayad aaj mil nahi rahay Kal jo tu aaye Meri rab se yeh dua hai phir say Baadal aisay barsay ke tu jaa hi na sakay Kal jo tu aaye Meri rab se yeh dua hai phir say Baadal aisay barsay ke tu jaa hi na sakay Aaj baadal aisay barsay ke tu aa hi na saka Jora koyalon ka saath milke gaa hi na saka