Mujhko bhula de tu Yaadein jalaa de tu Chubhta hai saanson mein Aur tu aankhon me pani sa behta Aur kyun jaa ke bhi mujhmein tu rehta Mujhko bhula de tu, tu Bas jaane de yaara Jeene de yaara Jaane de yaara Kaise main kahoon, kaisa yeh zehar hai Peena jo mujhe shaam-o-sehar hai Haal se mere tu yun bekhabar hai, kyun? Beete lamhe bade bereham hai Sahe kaise dil toote jo sitam hai Yaadein yeh teri palkon pe nam hain kyun? Jaane de yaara Jeene de yaara Jaane de yaara (King) Yaadein aati jo teri Woh bas zakhmon ko zinda karein Aankhein bataati yeh teri Tu bas raaz chuninda kahe Main kaise kar loon tera yakeen Main sambhla nahi ab tak Kiye vaar itne mera pyaar Tere haathon na maraa jab tak Aur ansuon se bhari barishon mein Jo dil se likhe the khat Mera zakhm dekh bhari ashiqon se Teri mehfilon ka sehma har shakss Hum the haare, maahi haare (Jaane de yaara) (Jeene de yaara) Hum the haare Tanha se raston pe chalta rahaa Dil mein hai yeh gham, ab jalta rahaa Udta hoon raakh sa, tere bina Haathon se haath hai yeh chhoota hua Kismat se hoon ab rootha hua Khud se bhi hoon khafaa, main tere bina Jaane de yaara Jeene de yaara Jaane de yaara Jaane de, jaane de Bas jaane de, jaane de Jaane de, jaane de Kabhi-kabhi uss aasmaan mein dekh ke sochta hoon Kya rishta tha humaara? Tu chand si chamakti rahi Main aaj bhi toota taara Na phir waqt mila, na hum mile, na dastoor Bas mila toh tere saath hone ka fitoor Mujhse nahin dekha jaata yeh haal mera Ab bas mujhe jaane de yaara