Mausamo'n ne rooth ke jahaan se keh diya Bujh naa jaaye roshan haan ummeedo'n ka diya Mausamo'n ne rooth ke jahaan se keh diya Bujh naa jaaye roshan haan ummeedo'n ka diya Toote-toote taaro'n ne nazaaron se kaha Karni ko tumhari humne hans ke saha Ab jodo, na todo, naata ye saccha Pehro haan thehro achha ho achha Andhere kahin jam na jaayen Ujaale baant lo Andhere kahin jam na jaayein Ujaale baant lo Patton ne pedon se Paani ne nadiyon se Faslon ne dharti se kaha Bachchon ne buzurgon se Naslon ne purkhon se Har guzarte lamhe ne kaha Andhere kahin jam na jaayein Ujaale baant lo Andhere kahin jam na jaayein Ujaale baant lo Parvaton ki teesri hai aankh khul gayi Baadlon ki toli bhi ab inse mil gayi Ujle-ujle aasman mein chhed ho gaya Prithvi ke jeevo'n mein kaisa bhed ho gaya Haan doobe le doobe is dharti ke shehar Sambhalo bacha lo ye basti ye nagar Barf ab jalne lage Patthar pighalne lage Sabne mil ke duniya se kaha Ghat.te huey seepon ne Mit.te huey deepon ne Chillate samandar se kaha Andhere kahin jam na jaayen Ujaale baant lo Andhere kahin jam na jaayen Ujaale baant lo