Hai bharat ka tyohaar, tyohaar desh ka
Dil ki gehraai se, aabhaar desh ka
Gungaan kya karoon main, janta vishesh ka
Dhanyavaad, shukriya, aabhaar desh ka

Hai bharat ka tyohaar, tyohaar desh ka
Hriday se karta hoon aabhaar desh ka

Janta janaardan ne kiya ksheer saagar manthan
Ashwamedh rajsooya mahaayagya sampann
Natmastak nabbe karod jan jan ko naman
Punarapi ho raha satyug aagman

Mere raashtra ka uphaar, udgaar desh ka
Sachhe dil se karta hoon aabhar desh ka

Ye dhyaan tap samadhi ka prabhaav dikh raha hai
Shiv swaroop sakshaat kedaar dikh raha hai
Niklaa gufaa se shambhu saakaar dikh raha hai
Sanmarg prashasth karta avtaar dikh raha hai

Bharat ka ab hota beda paar dikh raha hai

Hai jan jan ka tyohaar, tyohaar desh ka
Dil ki gehraai se aabhar desh ka
Gungaan kya karoon main janta vishesh ka
Dhanyawaad, shukriya aabhar desh ka

Mere bharat ka tyohaar tyohaar desh ka
Hriday se karta hoon aabhar desh ka
Meri maati ka tyohaar tyohaar desh ka
Sachhe dil se karta hoon aabhar desh ka