Mumbai se mei agla socha kya gaana du agla
Kya firse likhdu gaane mei kya kitna meine ragda
Kya firse likh du gaane mei ki kaise kia lafda
Kya firse likhdu gaane mei mera andhruni jhagda

Tu rapper khali gangster banra baat karra matter ki
Mei baat karne aaya real life battle ki
Aj gaadi se ha dekha bahar toh duniya dikhra alag hai
Aankho mei pyaas hai aur sukha hua halak hai

Rehne ko sadak hai
Paise ka talab hai
Yaha hath pair hai sahi salamat
Bheekh mangra marad hai

Bridge ke neeche sora bacha hora idhar darad hai
Kise du mei dosh bata kon idhar galat hai?
Life idhar unfair hai
Street lagra funfair hai

Itna dhoka khaye bharosa karnese manfaire
Life mei zara dhang se reh kiya meine manse re
Passion kia follow tabhi ration bhara gharpe mei
Koi nai aane wala tujhe nai uthane wala

Sirf khali aaye toh kachra uthane kachrawala
Kayko hai aas mei koi pass kare do niwala
Rehjayega sadak mei khudkeliye kuch kar toh lala
Ganda nala gharke pass

Dhokebaaz koi ni khaas
Peene ko nai paani khaas
Nal ke neeche nahale fast
Chalke jara nanga pair toh gareeb

Hora satyanash dosh dera auroko
Be mouka hai na tere pass
Blame karke fayda nai hai sarkar pe
Rehna tujhe foothpath pe

Baat meri mat kaat be
Baatcheet mei wazan hai be
Chote zara jasbaat dekh
Teko khali spoon feeding chaiye
Koi bichake deve red carpet

Gareeb paida hona galat nai hai
Gareeb marega toh khudko beta dosh de
Bantai tummei se kuch alag nai hai
Mei bana ameer kata gareebi mei those days

Kisi aur ke liye nai
Apno ke liye kuch toh kar
Hakikat mei kyu rukha hai
Apne sapno ke chal

Chala ghar chai bech ya fir swiggy kar
Paisa nai hai gharpe par bache ko padna medical
Baap nai hai manager
Woh pareshan dekhe calendar

Pagar pe nirbhar intazar agle taarik par
Tu doston mei duba hai be
Roz jake male par
Roz dum lagara note ko udara maadi par

Gaadi par dedh lakh
Paisa dene hai baap
Maa ke khudke hai khwab
Par bacha hora bekaar

Mera bhai unke liye jo hai tu hi hai
Hoke bhi tu waha kyu nai hai, ha kyu nai hai
Paisa sochke laga mei, mehnat karke kamane
Gawaya nai jawani, tabhi toh paisa ambani

Mei tere jaisa thanda nai
Apno se rehta lamba nai
Mei aaya kaafi lambe se
Gareeb ko samjha nai

Aasani se nasha milra par paani nai
Ye in gaaliyon ka hai sach, koi kahani nai
Aasani se nasha milra par paani nai
Ye in galiyon ka hai sach, koi kahani nai

Woh life hi kya jisme pareshani nai
Woh insaan hi kya jisme koi khaami nai
Manzil ko hai paana yaha aasan hi nai
Aasani se mil jaye woh mukaam hi nai

Malum hai na

Gareeb paida hona galat nai hai
Gareeb marega toh khudko beta dosh de
Bantai tummei se kuch alag nai hai
Mei bana ameer kata gareebi mei those days

Gareeb paida hona galat nai hai
Gareeb marega toh khudko beta dosh de
Bantai tummei se kuch alag nai hai
Mei bana ameer kata gareebi mei those days