Log chidte hai mujhse main gaane gata hun Aur asli naam rakha billal Par mujhe pata hai ki khuda ko Dekhne ke raste pe nahin hu filhal Filhal iss duniya se ladra hun ladne de Jo paana chahta hu hasil to karne de Fir jo krunga khuda khud bolega Waah kya kiya kamaal Tauba tauba badi baat nahin Badi badi meri soch hai Tere jaise salah dene wale milte roz hai Haan roz main yeh soch leke karta hun kaam Aaj nahin toh kal pehchanoge mera naam Par main naam bada karne nahin kaam badhane aaya hun Kisko kya karna hai jeeke sikhaya Jhukaya sar neeche dhyan manzil ke aur Mehnat mera haan macha dega shor Aaj main bore lagunga kyuki batein kathore Jo na samjhe baton ko unko main karta ignore Teri aur chale aayegi mehbooba bade pyaar se Kaamyabi payega jab mulakat kare har se Bahar se dikhta hu pyara ya fir dikhta chomu Andar mein mere jhanka kya, kya sachi mein main kon hun Tera sonu tera monu nahin khuda ka ek banda hun Mujhe pata hai main bahut zyada ganda hun Andha hun jaanke bhi anjaan main ban raha hun Itna hai leta nahin balboote chalra hu khudke Jhuk ke zara jhuk ke chalo raste kharab hai Sambhalke jhuk ke raste kharab hai Raste pe kankad, patthar, kanch, takleef mushkil Pareshaniya nahin hai Raste pe main hu... Hahahaha Maloom hai na Main hun woh hu jo hu main Slow hun slow hu slow hu main Mera kash leke dekh Ek nahin do hun do hun main