Yeah, yeah
Main flight mein hun
Main soya nai
Wo chhod gayi main roya nai

Parson raat jiske sath tha main gaal uska chooma
Kehti gaal ab tak dhoya nai

Lo fir ek baar pesh e khidmat hai meri zindagi lo maze
Wo bacchon ko school bhej kar karti hai call mujhko subeh 9 baje
Main dastaan apni likhne baithunga to kaiyon ka naam aayega
Kisiki ban jaye zindagi shayad to kisi ke gale se neeche na jaam jayega

Record tode dil kain tod kar
Sabse upar kyonki peechhe saare chhoot gaye
Gair ban baithe family
Jo bachpan se apne the wo saare rooth gaye
Ab phone bhi aane band ho gaye hain
Kehte tujhko tang karna nahi chahte
Teri zindagi rangeen hai badi usme
Apne feeke se rang bharna nahi chahte
Jo tu karta hai wo karna nahi chahte
Tujhse pyaar karte hain tujhse darna nahi chahte
Tu har baat pe hi ladne ko taiyaar baitha hai
Ham ladna nahi chahte

Jo sapne dekhe the wo kabke poore kar liye
Business gaadiyan kapde joote ghar liye
Wo mujhse poochhti hai kitna pyaar karta hai
Maine bola jispe marna tha mar liye
Wo mujhse poochhti tu raaton ko kyon jaagta hai
Is gali se us gali mein kyon tu bhaagta hai
Raat mere ghar pe subeh kisi aur ke
Ye bata tu guzar raha kis daur se

Tu kya kha raha hai aur tujhe kya kha raha hai
Lamborghini sahi hai par ye rasta kahan ja raha hai
24 ghante sath kabhi gaayab tu maheeno bhar
Kitna udega rehle zameeno par

Competition khatam reham kha ab kameeno par
Kitne dil hain tere aayenge kitni haseeno par
Ungliyon mein jo ye pehne hain tune
Kya tujhe sachme yakeen hai un nageeno par
Tere astrologer kya bataate hain
Ye bure sapne tujhe aaj tak kyon sataate hain
Kiska gam khaata hai ye bata
Ye chashme kaale kis ki yaadon ke aansu chhupaate hain

Ham kaun kyon hai aur kya hain ye bata
Aur teri zindagi mein kahan par aate hain
Mujhe chahta nai koi lekin Badshah ko saare chahte hain
Ye baatein karne ka faayda na koi
Meri zindagi ka kaayda na koi
Mainu chaidi ee ae tu te tu te tu
Par main chaida ni koi

Tu kisse baat kar rahi hai mujhko pata nai
Tere aage bas mera jism hai
Pyaar pyaar karta hai aur jab pyaar mile bhaagta hai
Aadmi ki kaisi kism hai

Ye baatein khair na hi karo ham se
Ham bekaar ho chuke hain
Ham to ab khud ke bas mein hi nahi
Ham bas ke bahar ho chuke hain