Tapte hue sehra mein Mile aabshaar jaise Mujhko toh hai iss jahaan mein Mila tera pyaar aise [x2] Sanam mere sanam Ye tera karam Bana rahe yunhi Kabhi na ho ye kam [x2] Meri aankhon ko hamesha Tere khwaabon ne nawaaza Mere waaste raha tu Mausam koi pyaara sa Daur-e-khiza mein koi aaye Banke bahaar jaise Mujhko toh hain is jahaan mein Mila tera pyaar aise Sanam mere sanam Ye tera karam Bana rahe yunhi Kabhi na ho ye kam Teri qurbaton ne mujhko Tanhai mein sambhaala Tune baahon mein sameta Tha main jab bikharne wala Tanha kahin ik bashar ko Mile ghamguzaar jaise Mujhko toh hai is jahaan mein Mila tera pyaar aise Sanam mere sanam Ye tera karam Bana rahe yunhi Kabhi na ho ye kam [x2]