Jiya.. main na jiya
Reza Reza.. mera jiya
Jiya.. main na jiya
Reza Reza.. mera jiya

Main begaana sa
Tha deewana sa
Mujhko teri chaahat mein basa diya

Jiya.. main na jiya
Jiya.. main na jiya
Jiya ha.. main na jiya..

Ho likhun hawaaon pe main
Nainon se naam tera
Ho saaye se main haathon ke
Saaya lun thaam tera

Ishq ka tu haraf
Jiske chaaron taraf
Meri baahon ke ghere ka bane hashiya
Jiya.. main na jiya
Reza Reza.. mera jiya
Jiya.. main na jiya
Main na jiya..

Naina, firozi nehar
Khwaabon ke paani mein ghar
Aise hoon main tere bin
Sehra ki jaise sehar
Saans mein tu bhare
Do jahaan se pare
Aake tujhse milun main
Mere sathiyaa..

Jiya.. main na jiya
Reza Reza.. mera jiya
Jiya.. main na jiya
Main na jiya